Zuhi

Prakash Solanki
1 min readOct 13, 2022

Tumhe gaye ek arsa ho gaya,
Aaj tum yaad aayi, yeh dil phirse toot gaya.

Kal hi ki toh baat hai jab tumhe induction mey dekha tha,
Dhadkan tham gayi thi, Dil kya behaal hua tha.

Himmat nahi thi aankho mey dekhne ki tumhare,
Doob hi jana tha jo darr ke maare.

Par dil se dil ki baatein toh karni thi,
Baaho mey tumhare, baahe bhi bharni thi.

Toh himmat jutaayi, baat chalaayi, Tabletennis ke bahane hi tumse dosti badaayi.

Woh din yaad aata hai jab pehli baar mein PG chodne aaya tha tumhe,
Jaate waqt helmet utaar, seene se lagaya tha tumhe.

Woh pehli baar jab der raat Kurla mey dosa khaane chale the hum,
Kese umr ko lekar chedne par gussa se laal huyi thi tum.

Woh pehli baar jab office ke niche chuma tha tumne mujhe,
Mere ghar aakar baaho mey jakda tha tumne mujhe.

Woh internship ke aakhri din jab station chodne aayi thi tum,
Tab alvida kehte waqt thi behad hi gumsum.

Woh pal jab hum Dilli ke airport pe mila karte the,
Mere diye huye gulaab tumhe dekh kar hi toh khila karte the.

Jab hum aakhri baar mile uss November ki dopeher,
Jab aakhri baar tumhe seene se lagaya tha,
Tab aakhri baar aankho mey paani yunhi bhar aaya tha
Yaad aate hai woh pal har roz hi mujhe…

Tumhe gaye ek arsa ho gaya,
Aaj tum yaad aayi, yeh dil phirse toot gaya!

--

--